جب اپنا کوئی نہیں ہے تو دید کیا ہوگی

469

jab apna koi nahin hay to deed kya ho gi | جب اپنا کوئی نہیں ہے تو دید کیا ہوگی

Jab Apnaa Koi NahiN Hay To Deed Kya Hogi
Watan Say Door GhareeboN Ki Eid Kya Hogi

Abhi To Pichli Mohabb-bat Kay Zakhmm Taazah HeiN
Abhi Kisi Say Mohabb-bat Shuneed Kya Hogi

Hazoor! Humm To Bina Daam Biknay Waalay HeiN
Hazoor! Aap Say Apni Khareed Kya Hogi

Milay Ho Jo Bhi Sarhak Per Aab Uss Say Mangtay HeiN
Aab Aur Matt-ti Hamaari Paleed Kya Hogi

Yeh Log Dill Kay NahiN, Jissm Kay Pujaari HeiN
InheiN Kisi Say Mohabb-bat Shadeed Kya Hogi

Kabhi Tumm Apnay Samandar MeiN Doobatay Hi NahiN
To Apni Aagahi Tumm Say Kasheed Kya Hogi

Chaman MeiN Kaghazi KaliyoN Ka Daur Aaya Hay
To Koi Kafi-e Missl-e Farid Kya Hogi

Tamaam Rishtay Aagar Zar Kay Waastay HeiN ALI
To Aisay RishtoN Say Humm Ko Umeed Kya Hogi

 


Copyright © 1998 Muhammad Ali Khan. All Rights Reserved.